Piya Aaye Na - Aashiqui 2

Singer: Tulsi Kumar, KK, Music: Jeet Gangulli, Lyrics: Irshad Kamil, Artist: Shraddha Kapoor, Aditya Roy KapurLyrics  
teri khata hai mere jiya
teri khata hai mere jiya
unpe bharosa kyun tune kiya
sab jhoothe jhoothe waade the unke
chal peechhe peechhe aaya tu jinke
woh piya aaye na, woh piya aaye na
piya aaye na, woh piya aaye na

ab sabhi un khwaabo ki tu dagar chhod  de
ab sabhi un khwaabo ko tu khud hi tod de
woh piya aaye na, woh piya aaye na
piya aaye na, woh piya aaye na
teri khata hai mere jiya
teri khata hai mere jiya

har khata ki hoti hai koi na koi sazaa
gham likhe ho kismat me to ban hi jaati wajah
ab sabhi gham ashqo me simat se gaye
ab sabhi aansu palko se lipat se gaye
woh piya aaye na, woh piya aaye na
piya aaye na woh piya aaye na

sach laga tha jo bewajah humko woh bharam ho gaya hai
bhor aane the jis fasaane me woh khatam ho gaya
bhoole hum bhoole woh kaise sabse kahe baat yeh
ab chalo hum dheere dheere bikhal se gaye
ab chalo hum jaise bhi ho sambhal se gaye
woh piya aaye na, woh piya aaye na
piya aaye na woh piya aaye na
woh piya aaye na, woh piya aaye na
piya aaye na woh piya aaye na
teri khata hai mere jiya
teri khata hai mere jiya
unpe bharosa kyun tune kiya

Share :

Facebook Twitter
Back To Top

facebook

Powered by Blogger.