Chhod de saari duniya kisi ke liye - Saraswatichandra (1968)



Movie/album: Saraswatichandra (1968)
Singers: Lata Mangeshkar
Song Lyricists: Indeevar (Shyamalal Babu Rai)
Music Composer: Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Music Director: Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Director: Govind Saraiya
Music Label: Saregama
Starring: Nutan, Manish

Lyrics
Chhod de saari duniya kisi ke liye
Ye munaasib nahin aadmi ke liye
Chhod de saari duniya kisi ke liye
Ye munaasib nahin aadmi ke liye
Pyaar se bhi zaroori kayi kaam hain
Pyaar sab kuchh nahin zindagi ke liye
Chhod de saari duniya kisi ke liye

Tan se tan kaa milan ho na paayaa to kyaa
Man se man kaa milan koyi kam to nahin
Man se man kaa milan koyi kam to nahin
Khushboo aati rahe door hi se sahi
Saamne ho chaman koyi kam to nahin
Saamne ho chaman koyi kam to nahin
Chaand miltaa nahin sabko sansaar mein
Chaand miltaa nahin sabko sansaar mein
Hai diyaa hi bahut roshni ke liye
Chhod de saari duniya kisi ke liye

Kitni hasrat se takti hain kaliyaan tumhen
Kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin
Kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin
Ek duniyaa ujad hi gayi hai to kyaa
Doosraa tum jahaan kyun basaate nahin
Doosraa tum jahaan kyun basaate nahin
Dil na chaahe bhi to, saath sansaar ke
Dil na chaahe bhi to, saath sansaar ke
Chalnaa padtaa hai sab ki khushi ke liye
Chhod de saari duniya kisi ke liye
Ye munaasib nahin aadmi ke liye
Pyaar se bhi zaroori kayi kaam hain
Pyaar sab kuchh nahin zindagi ke liye
Chhod de saari duniya kisi ke liye.

Share :

Facebook Twitter
Back To Top

facebook

Powered by Blogger.