Aapke Kamare Me Koyee Rehata Hai - Yaadon Ki Baraat

Singer: Asha Bhosle, Kishore Kumar, R D Burman, Music: R D Burman, Lyrics: Majrooh Sultanpuri, Artist: Tariq, Vijay Arora, Zeenat Aman
Lyrics
aapke kamre me koyi rehta hai,  ham nahi kehte jamana kehta hai,
aapke kamre me koyi rehta hai,
ham nahi kehte jamana kehta hai,
aapke kamre me koyi rehta hai

ham aaj udhar se nikale toh bade intjaam se
gira raha tha koyi parda haaye sar-e-shaam se
udhar aap ki photo se saji divaar pe
pada huwa tha ek saaya bade aaraam se
aapke kamre me koyi rehta hai

magar jo ek din mai gujri gali me sarkaar ki
tabhi se chalti hai dil pe haaye talwaar si
dabi-dabi halki-halki hasi ki adaao me
machal rahi thi chudi bhi haaye chhankaar si
yeh naa samjho koyi gaafil rehta hai,
ham nahi kehte jamana kehta hai,
aapke, na na aapke na na na
aapke kamre me koyi rehta hai

agar mai kahu jo dekha nahi tha woh koyi kwaab
pada tha table pe chashma woh kiska janaab
gore gale me woh muffler tha kis hasin kaa
jara haath dil pe rakh ke hame dijiye jawaab
aapke kamre me koyi rehta hai

dil mil gaye toh ham khil gaye
ke dil dil mile jaha me kabhu kabhu
are ha ha, are ha ha, are ha ha, are wah wah
dil mil gaye toh ham khil gaye
ke dil dil mile jaha me kabhu kabhu
are ha ha, are ha ha, are ha ha, are wah wah

yaro ke liya ha, hai meri duwa ha
aa jaaye woh din gale milke bite javaani
tumko bhi mile ha, din bahaar kaa ha
raat bahaar ki, yuhi jhume yeh jindagaani
dil mil gaye toh ham khil gaye
ke dil dil mile jaha me kabhu kabhu
are ha ha, are ha ha, are ha ha, are wah wah

dam maaro dam mit jaaye gum
bolo subah shaam hare krishna hare ram
hare krishna hare ram
hare krishna hare ram
 

Share :

Facebook Twitter
Back To Top

facebook

Powered by Blogger.