Akele Hain, To Kyaa Gam Hai - Qayamat Se Qayamat Tak

Vocal: Udit Narayan, Music: Anand Milind, Lyrics: Majrooh Sultanpuri, Artists: Juhi Chawla, Aamir Khan
Lyrics
akele hai to kya gam hai, chahe to hamare bas me kya nahi
bas ik zara sath ho tera, tere to hai ham kab se sanam
akele hai to kya gam hai, chahe to hamare bas me kya nahi
bas ik zara sath ho tera, tere to hai ham kab se sanam
akele hai to kya gam hai

ab ye nahi sapna, ye sab hai apna
ab ye nahi sapna, ye sab hai apna
ye jaha ho pyar ka
chhota sa ye aashiya bahaar ka
bas ik zara sath ho tera, tere to hai ham kab se sanam
akele hai to kya gam hai

phir nahi tutega, ham pe koi tufaan
phir nahi tutega, ham pe koi tufaan
sajna ho dekhna
har tufa ka mai karuga saamna
bas ik zara sath ho tera, tere to hai ham kab se sanam
akele hai to kya gam hai

ab to mere saajan bitega har din
ab to mere saajan bitega har din
pyar ki ho baaho me
rang jaayegi rut teri adaao se
bas ik zara sath ho tera, tere to hai ham kab se sanam
akele hai to kya gam hai, chahe to hamare bas me kya nahi
bas ik zara sath ho tera

Share :

Facebook Twitter
Back To Top

facebook

Powered by Blogger.