Ka Kha Ga Gha - Bombay Velvet

Vocal: Neeti Mohan, Music: Amit Trivedi, Lyrics: Amitabh Bhattacharya, Artist: Ranbir Kapoor, Anushka Sharma
Lyrics
aye tumse mili toh pyar ka seekha hai ka kha ga gha
aye samjhao na, kyun pyar ka ulta hai ka kha ga gha
kyun jo dard de, tadpaye bhi lagta hai pyara wohi
kyun toote yeh dil dehlaaye dil kabhi

tairne ki jo koshishein kare kaahe doob jaata hai
sab bhula ke jo doob jaaye kyun wohi tair paata hai
wo joh har khel mein jeeta yahan, dilbar se hara wohi
kyun toote yeh dil dehlaaye dil kabhi
aye tumse mili toh pyar ka seekha hai ka kha ga gha
aye samjhao na, kyun pyar ka ulta hai ka kha ga gha

dhat teri
iski har saza kubool ho jise yahan wahi wahi bari hua hai
ispe jo mukadmaa kare aji wahi wahi mara hai
batao kyun, is jail se bhaaga hai jo dobara lauta woh bhi
kyun toote yeh dil dehlaaye dil kabhi
aye tumse mili toh pyar ka seekha hai ka kha ga gha
aye samjhao na, kyun pyar ka ulta hai ka kha ga gha

Share :

Facebook Twitter
Back To Top

facebook

Powered by Blogger.