Main Tujhse Pyaar Nahin Karti - Baby

Vocal: Ramya Behra, Music: M M Kreem, Lyrics: Manoj Muntashir, Artist: Akshay Kumar
Lyrics
main tujhse pyar nahi karti
main tujhse pyar nahi karti par koi aisi sham nahi
jab main apni tanhai me tera intezar nahi karti
main tujhse pyar nahi karti

main tujhse pyar nahin karti
par shehar me jis din tu na ho ye shehar paraya lagta hai
har phul lage begana sa har shazar paraya lagta hai
main tujhse pyar

wo almari kapdowali lawaris ho jati hai
yeh pehnu ya woh pehnu ye uljhan bhi kho jati hai
mujhe ye bhi yaad nahi aata rang mujhko kon se pyare hai
mere shauk pasand meri bin tere sab banjare hai

main tujhse pyar nahi karti, main tujhse pyar nahi karti
main tujhse pyar nahi karti, main tujhse pyar nahi karti
par aisa koi din hai kya, jab yaad tujhe teri baato ko
sau sau baar nahi karti, sau sau baar nahi karti

Share :

Facebook Twitter
Back To Top

facebook

Powered by Blogger.