Taare Saare Chhup Gaye - Kabali

Vocal: Pradeep Kumar I, Music: Santhosh Narayanan, Lyrics: Raqib Aalam, Artist: Rajinikanth, Radhika ApteLyrics
behti hui main hu nadi, sagar ki talash hai
sagar se milwa de band ho na jaaye aankh, aawaz de
hai dil yeh ghayal jo bhara hai dard se, kaisi bebasi
taare saare chhup gaye phir chhaaya andhera
tanha phir se reh gaye hum

kyun ye humse teri duri, kaha hai woh dil tera
tha jo kabhi ghar mera, ghar se kyu beghar kar diya tune
dil kare teri baaho me aake abhi chhup jaau mai
bhigi teri in aankho me banke roshni abhi sama jaau mai
daudi daudi aau jo pukare pyar se par tu hai nahi
taare saare chhup gaye phir chhaaya andhera
tanha phir se reh gaye hum

dil ki baate kya main keh du
aati hai tu khwabo me toh samne kyun aati nahi
ghadi ghadi mujhe kyun sataati nahi
behti hui main hu nadi, sagar ki talash hai
sagar se milwa de, dard ye judai ka mita aa zara
phir se wahi lamhe, woh suhaani raat de, de tu hath de
taare saare chhup gaye phir chhaaya andhera
tanha phir se reh gaye hum

Share :

Facebook Twitter
Back To Top

facebook

Powered by Blogger.