Maa - Taare Zameen Par

Vocal: Shankar Mahadevan, Music: Shankar Ehsaan Loy, Shailendra Barve, Lyrics: Prasoon Joshi, Artist: Darsheel Safary
Lyrics
main kabhi batlaata nahi, par andhere se darta hoon main maa
yun to main dikhlaata nahi, teri parwaah karta hoon main maa
tujhe sab hai pata, hai na maa
tujhe sab hai pata meri maa

bheed mein yun na chhodo mujhe, ghar laut ke bhi aana paau maa
bhejna itna door mujhko tu, yaad bhi tujhko aana paau maa
kya itna bura hoon main maa
kya itna bura meri maa

jab bhi kabhi papa mujhe, zor zor jhula jhulate hai maa
meri nazar dhoondhe tujhe, sochun yahi tu aake thaamegi maa
unase main yeh kehta nahi, par main seham jaata hoon main maa
chehre mein aane deta nahi, dil hi dil mein ghabraata hoon main
tujhe sab hai pata hai na maa
tujhe sab hai pata meri maa
o main kabhi batlaata nahi, par andhere se darta hoon main maa
yun to main dikhlaata nahi, teri parwaah karta hoon main maa
tujhe sab hai pata, hai na maa
tujhe sab hai pata meri maa

Share :

Facebook Twitter
Back To Top

facebook

Powered by Blogger.