Singers: Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor
Song Lyricists: Hasrat Jaipuri
Music Composer: Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Lyrics:
jiske sapne hame roz aate rahe, dil lubhate rahe
ye bata do bata do
ye bata do kahi tum wohi to nahi, wohi to nahi
jiske sapne hame roz aate rahe, dil lubhate rahe
ye bata do kahi tum wohi to nahi, wohi to nahi
jab bhi jharno se maine suni ragini
jab bhi jharno se maine suni ragini
mai ye samjha tumhari hi payal baji
ho jiski payal pe
ho jiski payal pe hum dil lutate rahe, jan lutate rahe
ye bata do kahi tum wohi to nahi, wohi to nahi
jiske roz roz hum geet gate rahe, gungunate rahe
ye bata do kahi tum wohi to nahi, wohi to nahi
jab bhi thandi hawa gungunate chali
jab bhi thandi hawa gungunate chali
me ye samjhi tumhari hi murali baji
jiski murli pe
jiski murli pe hum lehrate rahe, balkhate rahe
ye bata do kahi tum wohi to nahi, wohi to nahi
jiske sapne hame roz aate rahe, dil lubhate rahe
ye bata do kahi tum wohi to nahi, wohi to nahi
ye mahakte bahakte huye raste
khul gaye aap hi pyar ke waste
de rahi hai pata mad bhari wadiya
jaise pahle bhi hum tum mile ho yaha
ho kitne janmo se
ho kitne janmo se jisko bulate rahe, aazmate rahe
ye bata do kahi tum wohi to nahi, wohi to nahi
jiske sapne hame roz aate rahe, dil lubhate rahe
ye bata do kahi tum wohi to nahi, wohi to nahi
tum wohi to nahi, tum wohi to nahi
wohi to nahi, wohi to nahi